BLOG POSTS

How to start a blogging Full Guide in Hindi 2018-19 Part 1

How to start a blogging Full Guide

Namshkar Doston Aagar aap bhi Blogging Kar ke Kuch Atiriqt paise kamana chahte hai Toh aap ko pehle ye janna jaruri hai ki Aakhir hum Blogging kaise suru kare (How to Start a Blogging), Ya phir Blog kaise Banaye Taki hum kuch paise kama sake. Agar aap bhi apna khud ka blog bnana chahte hai or aap ko nhi pata ki kaise banate hai or konse platform pr blog banana sahi hoga to aap sabse pehle un blogging networks ke bare main janne ki jarurat hai jo aap ko unke server pr free main blog host karne ki sahuliyat deti hai, yahan hum un sabhi networks main se bas 2 hi networks ke baren main janne wale kyun wahi jyada ache aur istmal karne main asan hai.
1)Google Blogger
2)Wordpress

1. Google Blogger

Blogger ek Google ki Aur se uske Users ko di gai Free Web hosting Service hai jahan koi bhi wqty Duniya ke kisi bhi kone se apna blog ya Blogger website ko bana sakta hai o Bhi bina hosting charges diye.
How To start a blog, how to be a blogger, how to make money with blog, fast, blogger, blogging,

Sath hi Blogger Simple User interface ke liye bhi popular hai or ise istmal karna bhi aasan hai, yahan aap ko blog bana ne ke liye koi khas mashakt nhi karni hoti hai balki aap apne Gmail ka email id se hi sign in kar sakte ho aur apna blog bana sakte ho.

Bs aap ko sign in pe click karna hai uske bad aap ko apna email id aur password dalke sign in ho jana hai, jaise hi aap sign in karo ge aap ko ek plan window dikhai degi jahan likha hoga CREATE A NEW BLOG aap ko wahan pr click karna hai aur apne blog ka job hi naam aap dena chahe o aap dalna hai phir aap ko apne blog ka address choose karna hai ki kis naam se aap ka blog hoga jaise ki ( www.mynewblog.blogspot.com) yahan pr Mynewblog Ye aap ke Blog ka address hai. Ye sab krne ke bad aap ka blog ready ho jayega ab bs aap ko kuch khas editing kr ke apke blog ko customize karna hota hai. Jiske bare main hum jald hi jannenge.

2)Wordpress

How to, Make, Blog, Wordpress, In hindi, 2018, 2019

Wordpress Blogger ki tarah hi free hai pr puritarah free nhi hai yahan aap ko alg alg package diye jate hai jisko kharid kr aap inki membership le sakte ho aur ye log aap ke liye khuch khar Options Open kardete hai yahan pr bhi ssp same gmail ID se hi sign up kar sakte ho Sign up karne ke bad aap keg mail pre k email bheja jyata hai ye conform karne ke liye ki ye email jo aap istmal kar rahe ho ye such main aap kahi hai ya kisi aur ka. Jaise hi aap apna email id verify karate ho aap ka account ban jata hai aapko yahan pr bhi apne site ka naam tatha address choose karna hota hai. Ye sab karne ke bad aap ko apne site ko customize karna hota hai takki aap ki website ya blog pr aane wale logon ko aap site pasand aaye aur unhe aap ke site pr kisi bhi prakar ki jankari padhne main dikkat na ho.

Is Tutorial main bs itna hi agle video main hum janne ge ki apne blog aakhir kis niche/topic par banaye Taki jyada se jyada traffic gain kar sakte.            

2 comments:

  1. I like your blog and want to associate my blog for promotion.

    ReplyDelete
  2. Great Tips in this article
    i have a blog https://www.freehelptips.in/

    ReplyDelete

Powered by Blogger.