BLOG POSTS

How to customize Blogger Blog/Website in Hindi 2018-19 Part 2

How To Customize Blogger blog or a website Is Article main Hum aap ko Hindi batane wale hai ki kaise aap apne Blogger blog ko ya website ko professionally Customize kar sakte hai wo bhi sab kuch Hindi main.
How to, Customize, Blogger, Blog, In, Hindi, 2018-19, How to Customize, How to Customize Blog, How Customize Blog In hindi 2018-19

Darasal yahan pr Hum do tarah se customize karenge apne Blogger Blog ko or ye Sabhi aap ko bahot dhyan se karna hoga kyun ki thodi sib hi galati aap ko mehangi pad sakti hai.
·         Blogger Layout
·         Blogger Widgets
·         Removing Template’s Auto Created pages
·         Main Menu and Sub menu
Upr Jo main 4 points Likhen hai wo sabhi Ek blog ko Customize karne ke liye bahot jaruri hote hai jaise ki aap ke blog ka layout kaisa important widgets lage huye hai ya nhi ya phir jo template ke sath automatically pages aa jate hai jise hum dekh nhi pate pr o hote jise Google, Bing jaise bade ad-network detect kar lete hai aur aap ka application reject kar dete hai.

1. Blogger Layout

Aap ko aapne blogger blog ka layout humesha Customize karte huye ek bat ko humesha yad rakhne ki jarurat hia ki aakhir humare blog ka layout kaisa hai or wo aap ke blog pr aane wale visitors ko pasand aa rha hai ya nhi, aap ko pasand aata hai ya nhi ye bat kuch mayne nhi rakhti hai aap ka blog ka Layout aap ke blog ke readers ko pasand aana chahiye. is main aap aap ko kuch khas baton ka dhyan dena hota hai.

  • Jaise ke koi vistor agar koi Purani post bhi padhna chahe to use wo post dhundne main koi dikkat na ho
  • Aap ke blog easy to navigate hona chahiye, matlab user ko ek post se dusri post, ek page se dusre page ya phir ek category se Dusri category main jane ke liye asani ho
  • Aap ka blogger blog well organized hona chahiye sabhi jaruri chije apni sahi      

2. Blogger Widgets

Aap ke blogger Blog main sabhi Jaruri widgets Lage huye hone jaruri hote hai, ye widgets aapki bahot sari madat karte hai user ko aap ke blog ko kuch bhi dundne ke liye. Aap ke blog pr kon kon se widgets hone chahiye is ka sample name main niche de rha hu.

1.       Recent post
2.       Popular post
3.       Search Box
4.       Categories  

In jaise jaruri widgets ko aap ko apne blog pr lagana jaruri hota hai aap apne blog ke liye widgets choose karte samay dhyan rakhen ki sirf or sirf jaruri widgets hi lage ho.

3. Removing Template’s Auto Created pages

Jab aap koi nai Template apne Blogger blog pr lagete hai to sath he aap us template ke sath bane huye kuch empty pages bhi apne blog pr jane anjane main laga lete ho jo aap ko ya aap ke users ko dikhai toh nhi dete hai. Per Wo Empty pages ya Yun kahe Simple pages Hote jarur hai. Jo aap ko delete karne hote hai.
How to, Customize, Blogger, Blog, In, Hindi, 2018-19, How to Customize, How to Customize Blog, How Customize Blog In hindi 2018-19

Agar aapne naya blog banaya hai Aur Aapne abhi tak koi pages Nhi banaye hai toh aap ke liye Un Empty Pages ya simple pages ko dhundna Asan hoga. Par agar aap ke blog per pehlese hi pages bane huye hai to aap ko bahot dhayn se un sample pages ko dhund kar delete karna hoga.
Aam tor pr ye sample pages template ke Head main hote hai kabhi kabhi Footer main bhi ho sakte hai aap ko unhe delete karna hoga.
Ye pages Aap ke Blog ke Main Menu Ya sub-Menu main ho sakte hai jise aap ko delete karna hota hai wo bhi savdhanise.      

4. Main Menu and Sub-menu

Aap ke blog per Main Menu Or Sub-Menu Well Organized hona chahye, aap ke blog ka Jo main Menu Hota hai wahan pr aap ke Blog ki Categories Hoti hai aap ko bs itna tad rakhna hai ki us menu main kuch bhi aap mix na kare, mera matlab hai ki ek hi Post ko aap Multiple category main mat dale. Isse Bad Impression Padta hai aap ke blog ke readers pr bhi aur aap jis ad-network main apne blog pr ad lagane ke liye apply kiya hai wahan pr bhi bad Impression Pdta hai.

Main Menu
Main Menu me hum apne blog ya website ki Kuch main Categories ko rakhte hai jiin Topics ke Andar Hum apne Baki articles Likhte hai, Jaise Man Lijiye Humne Travel Blog Banaya hai ab hum apne pr Jo Main Menu Hoga us main Continent ke naam Ko hi rakhenge kyun ki hum jis bhi jagah ke baren main Likhne wale hai wo kisi na kisi continent main hoga to hum Apne main menu ko Continet ki hisab se hi Arrange karenge. Aap photo main dekh sakte hai.
How to, Customize, Main Menu, Sub-Menu, In Hindi, How to Customize Main Menu In Hindi,

Sub-Menu
Jab aap ek Category ke Adar Ek aur category jo pehwali Se Mel khati hai us main aap ko Article likhna hai Jaise Aap ki Category ya main menu hai Europe Aur aap Europe main America ke andar ke Tourist Point pr article Likhna chahte hai to aap aise main Aap ko Europe Main hi America Naam se ek Menu ya Category banana hoti hai jo Aap ne jo America ke Upr Article Likha hai Use Represent kare aap niche photo main jaise dekh pa rahe hai waise.    
How to Customize Sub-Menu In Hindi, How To, Customize, Sub-Menu, In Hindi, 2018-19,

Is Article main Bas itna hi agar aap ko humara ye article pasand aaye to hume comment karke bataye agar koi samshya bhi hai to aap humse puch sakte hai.       

     

No comments:

Powered by Blogger.